"man re tuu kaahe na dhiir dhare" is an exceptional song.
Great rendition by Rafi, wonderful tune by Roshan and lovely poetry by Sahir make this song an all time great. In its January 26, 2006 issue the Outlook Magazine carried out a survey on the 20 Best Hindi Songs Ever, where "Outlook asked 30 leading composers, lyricists and singers to name their all-time favourite Hindi film songs" and this one emerged on top. Earlier Lata Mangeshkar had sung this song in her album "Shraddhanjali" as a tribute.
One of the verses in this song is:
is jiivan kii cha.Dhatii Dhalatii
dhuup ko kisane baa.ndhaa
ra.ng pe kisane pahare Daale
ruup ko kisane baa.ndhaa
kaahe ye jatan kare
This verse echoes two misras of a nazm "bint e lamhaat" written a year earlier by Akhtar ul Imaan.
bhalaa kisii ne kabhii raNg-o-buu ko pakRa hai
shafaq ko qaid meN rakkhaa, sabaa ko baNd kiyaa
Here is the whole nazm:
bint-e-lamhaat
tumhaare lahje meN jo ye garmii-o-halaavat hai
ise bhalaa saa ko_ii naam do wafaa kii jagah
GHaniim-e-nuur kaa hamlaa kaho andheroN par
dayaar-e-dard meN aamad kaho masiihaa kii
ravaaN davaaN hu_e KHushbu ke qaafile har suu
KHalaa-e-subah meN guuNjii saher kii shahnaa_ii
ye aik kohraa saa, ye dhundh sii jo chhaa_ii hai
is iltihaab meN is surmagiiN ujaale meN
sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahiiN aataa
hayaat naam hai yaadoN kaa talKH aur shiiriiN
bhalaa kisii ne kabhii raNg-o-buu ko pakRaa hai
shafaq ko qaid meN rakkhaa, sabaa ko baNd kiyaa
har aik lamha gurezaaN hai jaise dushman hai
na tum milogii na maiN, ham bhii donoN lamhe haiN
vo lamhe jaa ke jo vaapas kabhee nahiiN aate.
23 May, 1963
Tuesday, 19 July 2011
Friday, 1 July 2011
maine rakha hai mohabbat
In 1952 Faiz Ahmed Faiz wrote the Ghazal
raNg pairaahan kaa KHusbuu zulf lahraane kaa naam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane kaa naam
which had the following lines
mujhse kahte haiN chaman waale GHariibaan-e-chaman
tum koii achchhaa saa rakh lo apne viiraane kaa naam
Javed Anwar recycled the second lines of this verse as
tum bhii kuchh achchhaa saa rakh lo apne diiwaane kaa naam in a song for Shabnam (1964)

Subscribe to:
Posts (Atom)