Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko_ii na ho
hamsuKan ko_ii na ho aur hamzabaa.n ko_ii na ho
be dar-o-diiwaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko_ii hamsaayaa na ho aur paasbaa.n ko_ii na ho
paRiye gar biimaar to ko_ii na ho biimaardaar
aur agar mar jaa_iye to nauhaKwa.n ko_ii na ho
Majrooh Sultanpuri turned it into a song for Arzoo (1950)
a_e dil mujhe aisii jagah le chal jahaan ko_ii na ho
apnaa paraayaa mehrbaa.n naamehrbaa.n ko_ii na ho
Incidentally four years later in Sohrab Modi's Film "Mirza Ghalib" (1954) his whole Ghazal was sung by Suraiya.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment