Firaq Gorakhpuri's exquisite Ghazal was an inspiration for a great filmi Ghazal written by Majrooh Sultanpuri.
sukuut-e-shaam miTaao bahut a.ndheraa hai
suKan kii sham'a jalaao bahut a.ndheraa hai
dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa
sambhal ke Dhuu.nDhane jaao bahut a.ndheraa hai
ye raat vo ke suujhe jahaa.n na haath ko haath
Kayaalo duur na jaao bahut a.ndheraa hai
laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n
ziyaa-e-ruKh ko churaao bahut a.ndheraa hai
havaa_e.n niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum
naqaab ruK se uThaao bahut a.ndheraa hai
shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat
qadam sambhal ke uThaao bahut a.ndheraa hai
guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa
bujhe charaaG jalaao bahut a.ndheraa hai
thii ek uchaTatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii
'Firaq' ko na jagaao bahut a.ndheraa hai
For the film Chiraag(1960) Majrooh Sultanpuri used the same refrain - bahut a.ndhera hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment