Hafeez Jalandhari wrote:
jaag soz-e-ishq jaag, jaag soz-e-ishq jaag
toone aaNkh band kee, kaa_enaat so gayee
husn KHudpasand kee din se raat ho gayee
zard paR gayaa suhaag, jaag soz-e-ishq jaag
Here it is in Malka Pukhraj's voice.
Rajinder Krishen changed the word "soz" to "dard" and wrote the mukhRaa for Anarkali (1953) as "Jaag dard-e-ishq jaag"
Sunday, 27 November 2011
Thursday, 27 October 2011
kyaa huaa ik baat par barsoN ka yaaraanaa gayaa
Majrooh Sultanpuri's song in Teri Kasam (1982) inspired by Khatir Ghaznavi's (1925-2008) Ghazal
go zaraa sii baat par barsoN ke yaaraane ga_e
lekin itnaa to huaa kuchh log pahchaane ga_e
maiN ise shohrat kahuuN yaa apnii rusvaa_i kahuuN
mujh se pahle us galii meN mere afsaane ga_e
yuuN to wo merii rag-e-jaaN se bhii the nazdiik tar
aaNsuoN kii dhund meN lekin na pahchaane ga_e
vahshateN kuchh is tarah apnaa muqaddar ho gayiiN
ham jahaaN pahuNche hamaare saath viiraane ga_e
ab bhii un yaadoN kii Kushbuu zahen meN mahfuuz hai
baaraha ham jin se gulzaaroN ko mahkaane ga_e
kyaa qayaamat hai ki Kaatir kushta-e-shab bhi the ham
jab hui subah to mujrim hum hi gardaane ga_e
here is a rendition in Mehdi Hasan's voice

Tuesday, 19 July 2011
man re tuu kaahe na dhiir dhare
"man re tuu kaahe na dhiir dhare" is an exceptional song.
Great rendition by Rafi, wonderful tune by Roshan and lovely poetry by Sahir make this song an all time great. In its January 26, 2006 issue the Outlook Magazine carried out a survey on the 20 Best Hindi Songs Ever, where "Outlook asked 30 leading composers, lyricists and singers to name their all-time favourite Hindi film songs" and this one emerged on top. Earlier Lata Mangeshkar had sung this song in her album "Shraddhanjali" as a tribute.
One of the verses in this song is:
is jiivan kii cha.Dhatii Dhalatii
dhuup ko kisane baa.ndhaa
ra.ng pe kisane pahare Daale
ruup ko kisane baa.ndhaa
kaahe ye jatan kare
This verse echoes two misras of a nazm "bint e lamhaat" written a year earlier by Akhtar ul Imaan.
bhalaa kisii ne kabhii raNg-o-buu ko pakRa hai
shafaq ko qaid meN rakkhaa, sabaa ko baNd kiyaa
Here is the whole nazm:
bint-e-lamhaat
tumhaare lahje meN jo ye garmii-o-halaavat hai
ise bhalaa saa ko_ii naam do wafaa kii jagah
GHaniim-e-nuur kaa hamlaa kaho andheroN par
dayaar-e-dard meN aamad kaho masiihaa kii
ravaaN davaaN hu_e KHushbu ke qaafile har suu
KHalaa-e-subah meN guuNjii saher kii shahnaa_ii
ye aik kohraa saa, ye dhundh sii jo chhaa_ii hai
is iltihaab meN is surmagiiN ujaale meN
sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahiiN aataa
hayaat naam hai yaadoN kaa talKH aur shiiriiN
bhalaa kisii ne kabhii raNg-o-buu ko pakRaa hai

har aik lamha gurezaaN hai jaise dushman hai
na tum milogii na maiN, ham bhii donoN lamhe haiN
vo lamhe jaa ke jo vaapas kabhee nahiiN aate.
23 May, 1963

Friday, 1 July 2011
maine rakha hai mohabbat
In 1952 Faiz Ahmed Faiz wrote the Ghazal
raNg pairaahan kaa KHusbuu zulf lahraane kaa naam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane kaa naam
which had the following lines
mujhse kahte haiN chaman waale GHariibaan-e-chaman
tum koii achchhaa saa rakh lo apne viiraane kaa naam
Javed Anwar recycled the second lines of this verse as
tum bhii kuchh achchhaa saa rakh lo apne diiwaane kaa naam in a song for Shabnam (1964)

Wednesday, 22 June 2011
Dar na muhabbat kar le/do lafzoN kii hai
Majrooh Sultanpuri wrote the following song for Andaz (1949)
duniyaa faanii tuu bhii faanii
letaa jaa ulfat kii nishaanii
do lafazo.n kii ek kahaanii
ek mohabbat ek javaanii
yaad ise tuu kar le\- 2
Dar naa mohabbat kar le\- 2
In The Great Gambler (1979) thirty years later Anand Bakhshi used it as:
do lafzoN kii hai dil kii kahaanii
yaa hai muhabbat yaa hai jawaanii

Tuesday, 12 April 2011
nagarii merii kab tak yuu.nhii barabaad rahegii
har shaam hu_ii sub'ha ko ek Kwaab-e-faraamosh
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
-yaas yagaana changezi
Josh Malihabadi used a misra for a song of "Man Ki Jeet"
nagarii merii kab tak yuu.nhii barabaad rahegii
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
-yaas yagaana changezi
Josh Malihabadi used a misra for a song of "Man Ki Jeet"
nagarii merii kab tak yuu.nhii barabaad rahegii
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
Thursday, 7 April 2011
kisne chilaman se maaraa
Saher Bhopali {Siraj Mir Khan} 1857-1918 wrote
siine me.n dil hai dil me.n daaG, daaGo.n me.n soz-o-saaz-e-ishq,
parda ba parda hai pinhaa.n parda nashee.n kaa raaz-e-ishq
baa.ndh ke saf ho.n sab khaRe, teG ke saath sar jhuke
aaj to qatlgaah me.n dhuum se ho namaaz-e-ishq
farsh-e-zamii.n pe mustafaa, arsh-e-barii.n pe kibriyaa
pahu.nchaa kahaa.n se kahaa.n silsila-e-daraaz-e-ishq
Majrooh Sultanpuri used the first sher as an antara in the song "kisne chilaman se maaraa nazaaraa mujhe" from Baat Ek Raat Ki (1962)

Sunday, 23 January 2011
dil ek mandir hai
jaane waale kabhii nahiiN aate
jaane waale kii yaad aatii hai.
Thus starts the title song of "Dil Ek Mandir' by Hasrat Jaipuri. The couplet above was written by Sikandar Ali Wajd.

Subscribe to:
Posts (Atom)