Majrooh Sultanpuri's song in Teri Kasam (1982) inspired by Khatir Ghaznavi's (1925-2008) Ghazal
go zaraa sii baat par barsoN ke yaaraane ga_e
lekin itnaa to huaa kuchh log pahchaane ga_e
maiN ise shohrat kahuuN yaa apnii rusvaa_i kahuuN
mujh se pahle us galii meN mere afsaane ga_e
yuuN to wo merii rag-e-jaaN se bhii the nazdiik tar
aaNsuoN kii dhund meN lekin na pahchaane ga_e
vahshateN kuchh is tarah apnaa muqaddar ho gayiiN
ham jahaaN pahuNche hamaare saath viiraane ga_e
ab bhii un yaadoN kii Kushbuu zahen meN mahfuuz hai
baaraha ham jin se gulzaaroN ko mahkaane ga_e
kyaa qayaamat hai ki Kaatir kushta-e-shab bhi the ham
jab hui subah to mujrim hum hi gardaane ga_e
here is a rendition in Mehdi Hasan's voice
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment