Friday, 16 January 2009

pattaa pattaa buuTaa buuTaa

One of Mir Taqi Mir's most famous Gazal is "pattaa pattaa buuTaa buuTaa haal hamaaraa jaane hai, jaane na jaane gul hii na jaane baaG to saaraa jaane hai" Majrooh used this sher as the mukhRaa of a song in Ek Nazar(1972)

Mir's Ghazal:

patta patta, buuTa buuTa, haal hamaaraa jaane hai,
jaane na jaane gul hi na jaane, baaGH to saaraa jaane hai.

aage us mutakabbar ke ham KHuda KHuda kiya karte haiN,
kab maujuud Khuda ko woh maGHrur KHud-aara jaane hai.

aashiq saa to saada koii aur na hoga duniyaa meN,
jii ke ziaaN ko ishq meN uske apna waara jaane hai.

chaaraa garii biimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahiiN,
varna dilbar-e-naadaaN bhii is dard kaa chaara jaane hai.

mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in meN nahin,
aur to sab kuchh tanz-o-kinaaya, ramz-o-ishaara jaane hai.

aashiq to murdah hai hamesha jii uThta hai dekhe use,
yaar ke aa jaane ko yakaayak umr dobaara jaane hai.

tishna-e-khuuN hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talKHi-kash,
damdaar aab-e-teGH ko uske aab-e-gawara jaane hai.

No comments: