Thursday 29 May 2008

aaKirii giit muhabbat kaa sunaa luuN to chaluuN

Moin Ahsan Jazbi wrote the nazm "apanii so_ii hu_ii duniyaa ko jagaa luu.n to chaluu.n"
apni soii hui duniaa ko jagaa luuN to chaluuN
apne GhamKhane meN ek dhuum machaa lunn to chaluuN
aur ek jaam-e-ma’e talKh chaRha luuN to chaluuN
abhi chaltaa huuN zara khud ko sambhaaluuN to chaluuN

jaane kab pii thii abhi tak hai Gham-e-ma’e ka Khumaar
dhundhlaa dhundhlaa sa nazar aata hai jahaan-e-bedaar
aaNdhiyaaN chaltii haiN duniyaa huii jaati hai Ghubaar
aaNkh to mal luuN zara hosh meN aa luuN to chaluuN

voh meraa sahar voh ejaaz kahaaN hai laana
merii khoii huii aavaaz kahaaN hai laana
voh mera TuuTaa hua saaz kahaaN hai laana
ek zaraa giit bhi is saaz pe gaa luuN to chaluuN

maiN thakaa haaraa tha itne meN jo aaye baadal
kisii matvaale ne chupke se baRhaa di botal
uf voh rangiiN pur-asraar khayaaloN ke mahal
aise do-chaar mahal aur bana luuN to chaluuN

merii aaNkhoN meN abhi tak hai mohabbat ka Guruur
mere honToN ko abhii tak hai sadaaqat ka Guruur
mere maathe pe abhii tak hai sharaafat ka Guruur
aise vahmoN se Kud ko nikaaluuN to chaluuN


Raja Mehdi Ali Khan wrote a similar song for Neela Akash (1965)
aaKirii giit muhabbat kaa sunaa luuN to chaluuN

1 comment:

editor said...

Nice blog.

Jazbi wrote it earlier, as far as In know. The Nazm 'Maut' has six stanzas and each of them is exquisite.