Sunday 30 November 2008

chhalke terii aa.nkho.n se sharaab aur zyaada

Majaz Lakhnavi wrote

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa
haa.n merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa

ro_e.n na abhii ahal-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko Karaab aur zyaadaa

aavaaraa-o-majanuu.n hii pe mauquuf nahii.n kuchh
milane hai.n abhii mujh ko Kitaab aur zyaadaa

uThe.nge abhii aur bhii tuufaa.n mere dil se
dekhuu.ngaa abhii ishq ke Kaab aur zyaadaa

Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se
dhaRakegaa dil-e-Kaanaa Karaab aur zyaadaa

ai mutrib-e-bebaak ko_ii aur bhii naGamaa
ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa

For the film Arzoo (1965) Hasrat Jaipuri wrote:

chhalke teri aa.nkho.n se sharaab aur zyaadaa

One misra is practically unchanged in the song:
dhaRake hai dil-e-Kaanaa Karaab aur zyaadaa.

Wednesday 25 June 2008

more jobanaa ka dekho ubhaar/ek laRakii ko dekhaa to

Josh Malihabadi penned this song for the film Man Ki Jeet (1945)




more jobana ka dekho ubhaar
paapii jobana ka dekho ubhaar

jaise naddii kii mauj
jaise turko.n kii fauj
jaise sulage se bam
jaise baalak udham
jaise koyal pukaar


jaise hirnii kulel
jaise tuufaan mel
jaise bha.nware kii jhuum
jaise saawan kii dhuum
jaise gaatii phuaar

jaise saagar pe bhor
jaise uRataa chakor
jaise gendavaa khile
jaise laTTuu hile
jaise gaddar anaar

more jobana ka dekho ubhaar
paapii jobana ka dekho ubhaar


Javed Akhtar penned this for 1942 A Love Story (1993).

ek laRakii ko dekha to aisa lagaa
ek laRakii ko dekhaa to aisaa lagaa.

jaise khilataa gulaab
jaise shaayar ka Kwaab
jaise ujali kiran
jaise ban mein hiran
jaise chaa.ndani raat
jaise narmii ki baat
jaise ma.ndir me.n ho ek jalta diya

ek laRakii ko dekhaa to aisaa lagaa

jaise subhaa ka ruup
jaise sardii kii dhuup
jaise biinaa kii taan
jaise ra.ngo.n ki jaan
jaise bal khaa_e bel
jaise laharo.n ka khel
jaise Kushbuu liye aaye ThanDii havaa

ek laRakii ko dekhaa to aisaa lagaa

jaise naachata mor
jaise resham kii dor
jaise pariyo.n ka raag
jaise sa.ndal ki aag
jaise solah si.ngaar
jaise ras ki phuaar
jaise aahista aahista baRhata nashaa



This is what Film India commented with a 'literal' translation ...

FilmIndia commented :

Hazrat Josh Malihabadi who is considered to be the best rebel poet of
the nation. He has clearly prostituted his mighty pen in writing those
filthy lines. It must have been for money. Because it is difficult to
believe that a poet of Josh's eminence could have so radically changed
his ideals of poetry for our people. ... If Josh continues his present
career in film writing with songs like this, he should drop that
Hazrat that is fixed to his name. He doesn't deserve that even today,
with that filthy song broadcast to the world.

More Joban Ka Dekho Ubhaar
(Come look at the giddy blossom of my youthful breasts)
Paapi Joban Ka Dekho Ubhaar
(Come look at the bloom of my sinning breasts)
Jaise Nadi Ki Mauj, Jaise Turkon Ki Fauj
(My breasts are like the ripples on a river bed
My breasts are as militant as Turkish soldiers)
Jaise Sulage Se Bum, Jaise Balak Udham
(My breasts are like impregnated bombs
My breasts are like impudent kids)
Jaise Koyal Pukaare - More
(My breasts are like the call of the cuckoo)
Jaise Hirni Kulel, Jaise Toofan Mail
(My breasts are gambol like little deers
My breasts have the speed of Toofan Mail)
Jaise Bhanware Ki Joom, Jaise Sawan Ki Dhoom
(My breasts are like the whirl of butterflies
My breasts are like the storm of monsoon)
Jaise Gaati Phoohaar - More
(My breasts sing the music of early rain drops)
Jaise Sagar Pe Bhor, Jaise Udtaa Chakor
(My breasts herald the dawn on the horizon
My breasts are like fire eating birds of the skies)
Jaise Gendva Khilem Jaise Latto Hile
(My breasts are like marigolds in blossom
My breasts are dizzy like toy tops)
Jaise Gadhdhar Anaar - More
(My breasts are like half ripe pomegranates)
More Joban Ka Dekho Ubhaar
(Come look at the giddy blossom of my youthful breasts)
Paapi Joban Ka Dekho Ubhaar
(Come look at the bloom of my sinning breasts)

Wednesday 11 June 2008

o mere shaah-e-Kuubaa.n

Hakim Momin Khan Momin wrote "tum mere paas hote ho goyaa, jab ko_ii duusaraa nahii.n hotaa". Mirza Ghalib famously remarked, "Give this sher to me and take my whole diiwaan".

Hasrat Jaipuri's song in "Love in Tokyo" (1966), o mere shaah-e-Kuubaa.n is clearly inspired by Momin's Ghazal

jab bhii jii chaahe na_ii duniyaa basaa lete hai.n log

Qateel Shifai wrote jab bhii chaahe.n ek na_ii suurat banaa lete hai.n log, ek chehre pe ka_ii chehre lagaa lete hai.n log

Sahir Ludhiyanvi changed it slightly for "Dagh" (1973) as "jab bhii jii chaahe na_ii duniyaa basaa lete hai.n log, ek chehre pe ka_ii chere lagaa lete hai.n log

Thursday 29 May 2008

aaKirii giit muhabbat kaa sunaa luuN to chaluuN

Moin Ahsan Jazbi wrote the nazm "apanii so_ii hu_ii duniyaa ko jagaa luu.n to chaluu.n"
apni soii hui duniaa ko jagaa luuN to chaluuN
apne GhamKhane meN ek dhuum machaa lunn to chaluuN
aur ek jaam-e-ma’e talKh chaRha luuN to chaluuN
abhi chaltaa huuN zara khud ko sambhaaluuN to chaluuN

jaane kab pii thii abhi tak hai Gham-e-ma’e ka Khumaar
dhundhlaa dhundhlaa sa nazar aata hai jahaan-e-bedaar
aaNdhiyaaN chaltii haiN duniyaa huii jaati hai Ghubaar
aaNkh to mal luuN zara hosh meN aa luuN to chaluuN

voh meraa sahar voh ejaaz kahaaN hai laana
merii khoii huii aavaaz kahaaN hai laana
voh mera TuuTaa hua saaz kahaaN hai laana
ek zaraa giit bhi is saaz pe gaa luuN to chaluuN

maiN thakaa haaraa tha itne meN jo aaye baadal
kisii matvaale ne chupke se baRhaa di botal
uf voh rangiiN pur-asraar khayaaloN ke mahal
aise do-chaar mahal aur bana luuN to chaluuN

merii aaNkhoN meN abhi tak hai mohabbat ka Guruur
mere honToN ko abhii tak hai sadaaqat ka Guruur
mere maathe pe abhii tak hai sharaafat ka Guruur
aise vahmoN se Kud ko nikaaluuN to chaluuN


Raja Mehdi Ali Khan wrote a similar song for Neela Akash (1965)
aaKirii giit muhabbat kaa sunaa luuN to chaluuN

Sunday 4 May 2008

Thahari_e hosh meN/dil-e-naadaaN ko sambhaaluuN

Majrooh wrote "Thahari_e hosh me.n aa luu.n to chale jaai_egaa, aap ko dil me.n biThaa luu.n to chale jaai_egaa for the film Mohabbat Isko Kahte Hain (1965).



Kaifi Azmi wrote
dil-e-naadaa.n ko sa.nbhaaluu.n to chale jaai_gaa,
ek zaraa hosh me.n aa luu.n to chale jaai_egaa for Farar (1965).


Both films were released in the same year, and both songs were tuned exquisitely- the former by Khayyam and the latter by Hemant Kumar.

Thursday 6 March 2008

ham haal-e-dil sunaa_e.nge/aa aa bhii jaa

rahegaa ishq meraa Kaak me.n milaa ke mujhe
hu_e.n hai.n ibtedaa me.n ranj intehaa ke mujhe

Shailendra wrote this for Madhumati (1958) as an antaraa in the song
"ham haal-e-dil sunaa_e.nge suni_e ki na suni_e.

though the relevant verse was not retained in the movie, the complete audio version was released



Later Shailendra used it as a prelude to "aa aa bhii jaa" in Teesri Kasam (966)

Tuesday 5 February 2008

ye terii saadgii ye teraa baa.nkpan/sonaa nahii.n naa sahii

Mir Vazeer Ali Saba (1793-1855 C.E.)wrote:
tirchhii nazro.n se na dekho aashiq-e-dilgiir ko
kaise tiirandaaz ho siidhaa to kar lo tiir ko

Javed Anwar used this she'r in the song
"ye terii saadgii ye teraa baa.nkpan"
tirchhii nazro.n se na dekho aashiq-e-dilgiir ko
kaise tiirandaaz ho siidhaa to kar lo tiir ko
and added
vo gayaa dil meraa alvidaa alvidaa

in the film Shabnam (1964)



Majrooh Sultanpuri used the same she'r in the song
"sonaa nahii.n naa sahii, chaa.ndii nahii.n naa sahii"

and added

vo baRaa tez hai jo diiwaanaa hai meraa
huu.n usii kii shikaar jo nishaanaa hai meraa
to kholo zulfe.n inkii Kushbuu me.n mahak jaauu.n zaraa
gore tan kii chaa.Ndanii me.n phir chamak jaa_uu.N zaraa
chalo do pal ham ik duuje me.n kho jaaye.n is tarah
bahut din ke tarasate lab lipaT jaaye.n jis tarah
sajan sun-naa jaan-e-tamannaa
sajan sun-naa jaan-e-tamannaa tere liye
sonaa nahii.n naa sahii chaa.ndii nahii.n naa sahii

in the film One Two Ka Four (2001)

*Javed-Anwar were actually two people. Javed was the taKallus of Usha Khanna's father who wrote lyrics under the name of Manohar Khanna as well as ML Khanna, and Anwar in this duo was another lyricist who wrote separately as Rahil Gorakhpuri.

Monday 4 February 2008

ibtidaa-e-ishq me.n ham saarii raat jaage

Mir Taqi Mir's famous couplet:
ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhi_e hotaa hai kyaa

was turned into a duet by Hasrat Jaipuri
ibtidaa-e-ishq me.n ham saarii raat jaage
allaah jaane kyaa hogaa aage...o maula jaane kyaa hogaa aage.
for Hariyali Aur Raasta (1962).


P.S. Though this she'r has gained popular currency in this form, Mir's diiwaan (compiled by Ali Sardar Jafri) records it in a slightly different form:

raah-e-duur-e-ishq se rotaa hai kyaa
aage aage dekhi_e hotaa hai kyaa

Wednesday 30 January 2008

terii aa.nkho.n ke siwaa duniyaa me.n rakhaa kyaa hai

"terii aa.kno.n ke sivaa duniyaa me.n rakhaa kyaa hai" is a line from Faiz Ahmad Faiz's nazm " mujh sii pahlii sii muhabbat merii mahbuub na maa.ng".
Raj Khosla, the director of the movie Chirag (1969) was a student of Faiz and wanted to use in a song in the film. Majrooh only relented after Faiz gave his wriiten permission to use this line as a mukhRhaa.

dil Dhuu.nDhtaa hai phir wahii

Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote:
jii Dhuu.nDtaa hai phir wahii fursat, ki raat din
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.n kiye hu_e

Gulzar changed a word here a pause there and wrote a song around it for Mausam (1975)
dil Dhuu.nDhtaa hai phir wahii, fursat ke raat din
baiThe rahe tasavvur-e-jaanaa.n kiye huye




P.S. Gulzar wrote in an article in "Filmfare" that originally he had not changed "jii" to "dil", but the Music Director of the movie Madan Mohan showed him a copy of Ghalib's diiwaan which had "dil" instead of "jii" in the said Gazal!

hu_e ham jinke li_e barbaad

Muztar Khairabadi wrote:
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa meraa bachpan Karaab kar ke mujhe

Shakeel Badayuni used it at the beginning of a song in Deedar (1951). The song was
hu_e ham jinke li_e barbaad vo hamko chaahe kare.n na yaad
jiivan bhar...jiivan bhar unkii yaad me.n ham gaa_e jaa_e.nge, gaa_e jaa_e.nge

ham bane tum bane

Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote: ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib jo lagaa_e na lage aur bujhaa_e na bane.
Anand Bakshi used it in his song
"ham bane tum bane ek duuje ke li_e...ishq par zor nahii.n Gaalib ne kahaa hai isii li_e" from the film Ek Dooje Ke Liye (1981). One of the rare occasions when a poet has been credited in the song itself!

chiin-o-arab hamaaraa

Muhammad Iqbal wrote the nazm 'taraana-e-millii":
chiin-o-arab hamaaraa hindostaa.n hamaaraa
muslim hai.n ham watan hai saaraa jahaa.n hamaaraa


Sahir Ludhiyanvi parodied it for Phir Subah Hogi (1958) as:
chiin-o-arab hamaaraa hindostaa.n hamaaraa
rahne ko ghar nahii.n hai saaraa jahaa.n hamaaraa

a_e dil mujhe aisii jagah le chal

Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote

rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko_ii na ho
hamsuKan ko_ii na ho aur hamzabaa.n ko_ii na ho

be dar-o-diiwaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko_ii hamsaayaa na ho aur paasbaa.n ko_ii na ho

paRiye gar biimaar to ko_ii na ho biimaardaar
aur agar mar jaa_iye to nauhaKwa.n ko_ii na ho

Majrooh Sultanpuri turned it into a song for Arzoo (1950)

a_e dil mujhe aisii jagah le chal jahaan ko_ii na ho
apnaa paraayaa mehrbaa.n naamehrbaa.n ko_ii na ho




Incidentally four years later in Sohrab Modi's Film "Mirza Ghalib" (1954) his whole Ghazal was sung by Suraiya.

Tuesday 29 January 2008

bhuule se muhabbat kar baiThaa

Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote

dil hii to hai na sa.ng-o-Kisht dard se bhar na aa_e kyu.n
ro_e.nge ham hazaar baar ko_ii hame.n sataa_e kyu.n

Sahir Ludhiyanvi turned the first part of the misra into a song of the same name Dil Hi To Hai (1963)
bhuule se muhabbat kar baiThaa naadaa.n thaa bechaaraa dil hii to hai
har dil se Kataa ho jaatii hai bigaRo na Kudaaraa dil hii to hai

baiThe hai.n rahguzar par

Mirza Asadullah Khan Ghalib wrote:

da_ir nahii.n haram nahii.n dar nahii.n aastaa.n nahii.n
baiThe hai.n rahguzar pe ham Gair hame.n haTaa_e kyu.n?


Kaifi Azmi took the first half of the second misra and made that into a song for Chaalis Din/40 Days (1959)

baiThe hai.n rahguzar par dil kaa diyaa jalaa_e
shaayad vo dard samjhe shaayad vo lauT aaye.

Friday 25 January 2008

zer-e-diiwaar khaRe hai.n/ daGaa daGaa va_ii

Listen to Kaifi Azmi's

zer-e-diiwaar khaRe hai.n teraa kyaa lete hai.n
dekh lete hai.n tapish dil kii bujhaa lete hai.n


from Sakhi Hatim (1955) Music Director: A R Qureshi; Singer: Talat Mehmood.

and Majrooh Sultanpuri's following lines from the song
"daGaa daGaa va_ii va_ii va_ii" :

yuu.nhii raaho.n me.n khaRe hai.n teraa kyaa lete hai.n
dekh lete hai.n jalan dil kii miTaa lete hai.n

from Kaali Topi Lal Roomal (1959), Music Director: Chitragupt; Singer: Lata Mangeshkar

Why Hamkalaam?

Hamkalaam is an attempt to document the "inspirations" in Hindi/Hindustani/Urdu Film Song lyrics. These inspirations range from literary sources to older film lyrics.