Sunday 4 November 2012

milti hai zindagi meiN mohabbat kabhi kabhi

In Aankhen (1968) Sahir Ludhianvi had written a beautiful GHazal "milti hai zindagii meN mohabbat kabhii kabhii"



This was inspired from a GHazal of Nasir Kazmi:


hotii hai tere naam se wahshat kabhii kabhii
barham hu_ii hai yuuN bhii tabiiyat kabhii kabhii

ae dil kise nasiib ye taufiiq e iztaraab
miltii hai zindagii meN ye raahat kabhii kabhii

tere karam se ae alam e husn e aafriiN
dil ban gayaa hai dost kii KHilwat kabhii kabhii

josh e junuuN meN dard kii tuGHyaaniyoN ke saath
ashkoN meN Dhal ga_ii terii suurat kabhii

tere qariib rah ke bhii dil mutma_in na thaa
guzrii hai mujh pe ye bhii qayaamat kabhii kabhii

kuchh apnaa hosh thaa na tumhaaraa KHayaal thaa
yuuN bhii guzar ga_ii shab e furqat kabhii kabhii

ae dost ham ne tark e mohabbat ke baavajood
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
-Nasir Kazmi


Saturday 7 April 2012

Qamar Dehlvi or Dagh Jalalabadi?


Qamar Jalalabadi had a great eye for catchy couplets in the works of the asaateza (ustad-s) of Urdu poetry which could be reused to great effect in dramatic film situations as well as comic ones.  Qamar saahib collaborated with OP Nayyar in a song sung in the film Basant (1960) by Mohammed Rafi, Shiv Dayal Batish and Asha Bhosle where he put this 'poetrickery' :-) to good use.

The situation in the song is one witnessed often in the films of that era: the heroine is being wooed by the loser "villain" in a birthday party to which the hero has not been invited due to his station in life.  The hero, not to be outdone, comes to the party anyway, disguised as a poet, singer or qawwal, accompanied by his best friend and his woman.



The mukhda of the song is taken as-is, without modification, by Qamar Jalalabadi from a Ghazal by Dagh Dehlvi:

hamne unke saamne pahle to Khanjar rakh diyaa
phir kalejaa rakh diyaa, dil rakh diyaa, sar rakh diyaa

qatrah-e-Khoon-e-jigar see ki tawajjoh 'ishq kii
saamne mehmaan ke jo thaa muyassar rakh diyaa

zindagi meiN to kabhi dam bhar na hote the judaa
qabr mein tanhaa mujhe yaaroN kyuuNkar rakh diyaa

dekhiye ab ThokareiN khaati hai kis kis ki nigaah
rozan-e-deewaar meN zaalim ne patthar rakh diyaa

zulf Khaali, haath Khaali, kis jagah DhooNDeiN ise
tum ne dil lekar kahaaN, ai banda.parwar, rakh diyaa?