Sunday 30 November 2008

chhalke terii aa.nkho.n se sharaab aur zyaada

Majaz Lakhnavi wrote

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa
haa.n merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa

ro_e.n na abhii ahal-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko Karaab aur zyaadaa

aavaaraa-o-majanuu.n hii pe mauquuf nahii.n kuchh
milane hai.n abhii mujh ko Kitaab aur zyaadaa

uThe.nge abhii aur bhii tuufaa.n mere dil se
dekhuu.ngaa abhii ishq ke Kaab aur zyaadaa

Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se
dhaRakegaa dil-e-Kaanaa Karaab aur zyaadaa

ai mutrib-e-bebaak ko_ii aur bhii naGamaa
ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa

For the film Arzoo (1965) Hasrat Jaipuri wrote:

chhalke teri aa.nkho.n se sharaab aur zyaadaa

One misra is practically unchanged in the song:
dhaRake hai dil-e-Kaanaa Karaab aur zyaadaa.