Monday 26 January 2009

aa.Nkh khulate hii tum/dhiire dhiire machal

In Munimji(1955) the following song by Sahir
"aa.Nkh khulate hii tum chhup gaye ho kahaa.N
had this antara


"abhii saa.Nso.n kii Kushbuu havaao.n me.n hai
abhii qadamo.n kii aahaT fazaao.n me.n hai"

Eleven years later Kaifi Azmi wrote
"dhiire dhiire machal ae dil-e-beqaraar ko_ii aataa hai"

which had the following antara
"usake daaman kii Kushabuu havaao.n me.n hai
usake qadamo.n kii aahaT fazaao.n me.n hai"

Friday 16 January 2009

pattaa pattaa buuTaa buuTaa

One of Mir Taqi Mir's most famous Gazal is "pattaa pattaa buuTaa buuTaa haal hamaaraa jaane hai, jaane na jaane gul hii na jaane baaG to saaraa jaane hai" Majrooh used this sher as the mukhRaa of a song in Ek Nazar(1972)

Mir's Ghazal:

patta patta, buuTa buuTa, haal hamaaraa jaane hai,
jaane na jaane gul hi na jaane, baaGH to saaraa jaane hai.

aage us mutakabbar ke ham KHuda KHuda kiya karte haiN,
kab maujuud Khuda ko woh maGHrur KHud-aara jaane hai.

aashiq saa to saada koii aur na hoga duniyaa meN,
jii ke ziaaN ko ishq meN uske apna waara jaane hai.

chaaraa garii biimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahiiN,
varna dilbar-e-naadaaN bhii is dard kaa chaara jaane hai.

mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in meN nahin,
aur to sab kuchh tanz-o-kinaaya, ramz-o-ishaara jaane hai.

aashiq to murdah hai hamesha jii uThta hai dekhe use,
yaar ke aa jaane ko yakaayak umr dobaara jaane hai.

tishna-e-khuuN hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talKHi-kash,
damdaar aab-e-teGH ko uske aab-e-gawara jaane hai.

Friday 9 January 2009

zamaane ko dikhaanaa hai

Jigar Muradabadi wrote a Ghazal in which one of the couplets is:
kyaa husn ne samjha hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Kaak nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai
.

All Nasir Husain films used to begin with this sh'er.

Majrooh Sultanpuri used it in the beginning of the title song/qawwaali of Zamane Ko Dikhana Hai (1981):



By the way, there is another very famous couplet in the same Ghazal:
yeh 'ishq nahii.n aasaa.N, bas itnaa samajh leeje
ik aag kaa daryaa hai, aur Doob ke jaanaa hai


Do you remember any song that uses this couplet?

haule haule se hawaa lagtii hai

Jaideep Sahni wrote the following antara in the song "haule haule se hawaa lagtii hai" from Rab Ne Bana Di Jodi (2008):kyaa kah ke gayaa thaa shaayar vo sayaanaa, aag kaa dariyaa Duub ke jaanaa.

The "sayaanaa" shaayar was of course Jigar Muradabadi who wrote:
ye ishq nahii.n aasaa.n bas itnaa samajh leeje
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai.