Sunday 4 November 2012

milti hai zindagi meiN mohabbat kabhi kabhi

In Aankhen (1968) Sahir Ludhianvi had written a beautiful GHazal "milti hai zindagii meN mohabbat kabhii kabhii"



This was inspired from a GHazal of Nasir Kazmi:


hotii hai tere naam se wahshat kabhii kabhii
barham hu_ii hai yuuN bhii tabiiyat kabhii kabhii

ae dil kise nasiib ye taufiiq e iztaraab
miltii hai zindagii meN ye raahat kabhii kabhii

tere karam se ae alam e husn e aafriiN
dil ban gayaa hai dost kii KHilwat kabhii kabhii

josh e junuuN meN dard kii tuGHyaaniyoN ke saath
ashkoN meN Dhal ga_ii terii suurat kabhii

tere qariib rah ke bhii dil mutma_in na thaa
guzrii hai mujh pe ye bhii qayaamat kabhii kabhii

kuchh apnaa hosh thaa na tumhaaraa KHayaal thaa
yuuN bhii guzar ga_ii shab e furqat kabhii kabhii

ae dost ham ne tark e mohabbat ke baavajood
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
-Nasir Kazmi