Tuesday 4 August 2009

raahii manvaa dukh kii chintaa

Listen to Fani Badayuni's Ghazal:

goyaa nahii.n taGHaaful-o-tamkii.n me.n ko_ii farq
itnii bhii aadmii ko umiid-e-karam na ho

GHam bhii guzashtanii hai KHushii bhii guzashtanii
kar GHam ko iKHtiyaar ke guzre to GHam na ho.

manzuur har navishta-e-taqdiir hai mujhe
lekin vo jis me.n harf-e-tamanna raqam na ho

har lamha-e-hayaat hai begaana-e-hayaat
faanii hayaat se hii ibaarat adam na ho.

Majrooh expressed the same thought as the second she'r at the beginning of raahii manvaa dukh kii chintaa kyuu.n sataatii hai in Dosti (1964)

No comments: